Marsiya
Insān kē Liyē Maut hai Gham Bē-Waṭanī kā
Insān kē liyē maut hai gham bē-waṭanī kā
Jānkā hai andōh woh 'ālam bē-waṭanī kā
Ṣadma nahīṅ kuch maut sē kam bē-waṭanī kā
Āfat hai qayāmat hai sitam bē-waṭanī kā
Kāṇṭōṅ kā 'alam Sayyid-e-Sajjād sē pūchō
'Īzā-e-safar Muslim-e-nāshād sē pūchō
1 / 12
